Durga Chalisa
Namo namo Durge sukh karani,
Namo namo Ambe dukh harani.
Nirankar hai jyoti tumhari
Tihun lok pheli ujayari.
Shashi lalat mukh maha vishala,
Netra lal brikuti vikrala.
Roop matu ko adhika suhave,
Daras karat jan ati sukh pave.
Tum sansar shakti laya kina,
Palan hetu anna dhan dina.
Annapurna hui jag pala,
Tumhi adi sundari bala.
Pralaya kal sab nashan hari,
Tum Gauri Shiv Shankar pyari.
Shiv yogi tumhare gun gave,
Brahma Vishnu tumhe nit dhyaven.
Roop Saraswati ko tum dhara,
De subudhi rishi munin ubara
Dharyo roop Narsimha ko Amba,
Pragat bhayin phar kar kamba.
Raksha kari Prahalad bachayo,
Hiranakush ko swarg pathayo.
Lakshmii roop dharo jag mahi,
Shree Narayan ang samahi
Ksheree Sindhu karat vilasa,
Daya Sindhu deejay man aasa
Hingalaj mein tumhi Bhavani,
Mahima amit na jaat bakhani
Matangi Dhoomavati Mata,
Bhuvneshwari Bagala Sukhdata
Shree Bairav Tara jog tarani,
Chin-na Bhala bhav dukh nivarani.
Kehari Vahan soh Bhavani,
Langur veer chalat agavani
Kar men khappar khadag viraje,
Jako dekh kal dar bhaje.
Sohe astra aur trishoola,
Jase uthata shatru hiya shoola
Nagarkot mein tumhi virajat,
Tihun lok mein danka bajat
Shumbhu Nishumbhu Danuja tum mare,
Rakta-beeja shankhan samhare.
Mahishasur nripa ati abhimani,
Jehi agha bhar mahi akulani
Roop kaaral Kalika dhara,
Sen sahita tum tin samhara
Pari garha santan par jab jab,
Bhayi sahaya Matu tum tab tab
Amarpuri aru basava loka,
Tava mahima sab rahen asoka
Jwala mein hai jyoti tumhari,
Tumhen sada pujan nar nari
Prem bhakti se jo yash gaye,
Dukh-daridra nikat nahin ave
Dhyave tumhen jo nar man laee,
Janam-maran tako chuti jaee.
Jogi sur-muni kahat pukari,
Jog na ho bin shakti tumhari
Shankar Aacharaj tap keenhon,
Kam, krodh jeet sab leenhon
Nisidhin dhyan dharo Shanker ko,
Kahu kal nahin sumiron tum ko
Shakti roop ko maram na payo,
Shakti gayi tab man pachitayo
Sharnagat hui keerti bakhani,
Jai jai jai Jagdamb Bhavani
Bhayi prasanna Aadi Jagdamba,
Dayi shakti nahin keen vilamba
Mokun Matu kashta ati ghero,
Tum bin kaun hare dukh mero
Asha trishna nipat sataven,
Moh madadik sab binsaven
Shatru nash keeje Maharani,
Sumiron ekachita tumhen Bhavani
Karo kripa hey Matu dayala
Riddhi-Siddhi de karahu nihala
Jab lagi jiyoon daya phal paoon,
Tumro yash mein sada sunaoon,
Durga chalisa jo gaye,
Sab sukh bhog parampad pave
Devidas sharan nij jani,
Karahu kripa Jagdamb Bhavani
No comments:
Post a Comment